سرکار کرم کے صدقہ میں خواجہ کا روضہ دیکھ لیا

Sarkar Karam Ke Sadqe Main Khuwaja Ka Rouza Dekh Liya
Khuwaja Ki Ghareeb Nawazi Ka Darbaar Main Naqsha Dekh Liya

Sarkar Main Jholi Phela Kar, Maango To Kya Kuch Pao Ge
Allah Ke Fazl O Rahmat Se Dete Hain Khuwaja Dekh Liya

Jo Le Ke Tamanna Aata Hai, Wo Le Ke Murade’n Jata Hai
Andaz E Talab Bhi Dekh Liya, Andaz E Ataa Bhi Dekh Liya

Rahmat Ke Khazane Bhi Be Had, Khuwaja Ki Sakhawat Bhi Be Had
Dete To Nahin Dekha Hai Magar, Daman Jo Bhara Tha Dekh Liya

Darbaar Moeeni Se Be Shak, Mahroom Raha Jo Munkir Tha
Kitne Hi Tamanna Walon Ko Wasil Ba Tamanna Dekh Liya

Miskeen O Tawangar Sab Yaksa’n, Jazbaat Se Khinche Aate Hain
Eik Qabar Main Sone Wale Ka, Insano’n Pe Qabza Dekh Liya

Ush’shaaq Ka Majmaa Rouza Par, Parwano Sa Umad Aata Hai
Kya Shamma Jamal E Anwar Main Sarkar Ka Rouza Dekh Liya

Jis Noor Ka Jalwa Kaaba Aur Taiba Ko Munawwar Karta Hai
Baghdad Main Aur Ajmair Main Bhi Us Noor Ka Jalwa Dekh Liya

Jitne Bhi Wali Hain Aalam Main, Agwas Bhi Hain, Aqtab Bhi Hain
Har Ghaus O Wali, Abdal Pay Hai Faizan E Madina Dekh Liya

Aik Dhoom Hai Allah Walon Ki, Ik Shor Macha Hai Bahoo Ka
Nekon Ke Sabab Badkaro’n Par, Inaam Walii Ka Dekh Liya

Mardon Ke Hajhoom Be Had Hain, Hain Aurtain Bhi Aur Bachay Bhi
Tehzeeb O Haya Ka Khoo Hum Ne, In Aankho’n Se Hota Dekh Liya

Is Par Bhi Karam Ne Khuwaja Ke Mahroom Kisi Ko Kab Chora
Rote Hoye Aane Wale Ko, Hansta Howa Jata Dekh Liya

Burhan Par Bhi, Hamid Par Bhi, Hafiz Pe Ali Ahmed Par Bhi
Aur Jaan Mohammad Aur Ziya Par Noori Ka Sadqa Dekh Liya

Jazbaat E Burhan : Burhan Ul Haq Jabal Poori

Share this article
Shareable URL
Prev Post

نظارے ہیں گو لاکھوں جہاں بھر کے نظر میں

Next Post

اج سک متراں دی ودھیری اے

Read next